qayamat waqt se pahle guzar jae to achchha ho
qayāmat vaqt se pahle guzar jaa.e to achchhā ho
nazar kuchh der jalvoñ par Thahar jaa.e to achchhā ho
agar ġham zabt kī had se guzar jaa.e to achchhā ho
fareb-e-rang-o-bū dil se utar jaa.e to achchhā ho
mirī barbādiyāñ hī dars-e-ibrat kaash ban jaa.eñ
kisī sūrat se ye duniyā sañvar jaa.e to achchhā ho
mohabbat mo'taqid kab tak rahegī ashk-o-shabnam kī
mirā sāġhar mai-e-irfāñ se bhar jaa.e to achchhā ho
zamāna mere dil kī dhaḌkanoñ ko khel samjhā hai
ye aalam ḳhair se yūñhī guzar jaa.e to achchhā ho
musībat dar-haqīqat ek tamhīd-e-masarrat hai
ma.āl-e-ġham pe duniyā kī nazar jaa.e to achchhā ho
nazar aa.ī to hai dhundlī sī ik tasvīr sāhil par
kahīñ ab dil kī kashtī bhī Thahar jaa.e to achchhā ho
fareb-e-husn kī rangīniyāñ bikhrī haiñ gulshan meñ
mohabbat be-niyāzāna guzar jaa.e to achchhā ho
zamāna bāġhbāñ ke zulm par tanqīd kartā hai
zarā majbūriyoñ par bhī nazar jaa.e to achchhā ho
jahāñ lākhoñ tamannāoñ kā ḳhuuñ ġham ne bahāyā hai
vahīñ jiine kī ye hasrat bhī mar jaa.e to achchhā ho
kahāñ tak 'shauq' dekhā jaa.e ā.īna fareboñ kā
ab in āñkhoñ se ye ḳhvāb-e-sahar jaa.e to achchhā ho
qayamat waqt se pahle guzar jae to achchha ho
nazar kuchh der jalwon par Thahar jae to achchha ho
agar gham zabt ki had se guzar jae to achchha ho
fareb-e-rang-o-bu dil se utar jae to achchha ho
meri barbaadiyan hi dars-e-ibrat kash ban jaen
kisi surat se ye duniya sanwar jae to achchha ho
mohabbat mo'taqid kab tak rahegi ashk-o-shabnam ki
mera saghar mai-e-irfan se bhar jae to achchha ho
zamana mere dil ki dhaDkanon ko khel samjha hai
ye aalam KHair se yunhi guzar jae to achchha ho
musibat dar-haqiqat ek tamhid-e-masarrat hai
maal-e-gham pe duniya ki nazar jae to achchha ho
nazar aai to hai dhundli si ek taswir sahil par
kahin ab dil ki kashti bhi Thahar jae to achchha ho
fareb-e-husn ki ranginiyan bikhri hain gulshan mein
mohabbat be-niyazana guzar jae to achchha ho
zamana baghban ke zulm par tanqid karta hai
zara majburiyon par bhi nazar jae to achchha ho
jahan lakhon tamannaon ka KHun gham ne bahaya hai
wahin jine ki ye hasrat bhi mar jae to achchha ho
kahan tak 'shauq' dekha jae aaina farebon ka
ab in aankhon se ye KHwab-e-sahar jae to achchha ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.