qaza ka raaz hai muzmar jo chand sanson mein
qazā kā raaz hai muzmar jo chand sāñsoñ meñ
hayāt kā bhī ta.āruf hai chaar harfoñ meñ
charāġh fan ke jalā.eñge ham añdheroñ meñ
shu.ūr fikr kī mash.al hai apne hāthoñ meñ
shab-e-firāq chamakne lage dar-o-dīvār
mah-o-nujūm bhī shāmil haiñ mere ashkoñ meñ
abhī zamāne meñ namrūd kī ḳhudā.ī hai
zarā ḳhalīl to aa.eñ ḳhudā shanāsoñ meñ
balā-kashoñ ne sambhāle haiñ TuuTe paimāne
huzūr aap kahāñ aa.e dil-shikastoñ meñ
vo aa.ine ke muqābil bhī rūnumā na huā
vo ek shaḳhs jo baiThā hai chhup ke āñkhoñ meñ
nazar nazar hai tasadduq tere nazāroñ par
nafas nafas hai charāġhāñ mirī nigāhoñ meñ
agar 'hayāt' ḳhazaf se sadaf na ban jaa.e
shumār is kā bhī hotā hai sañg-rezo meñ
qaza ka raaz hai muzmar jo chand sanson mein
hayat ka bhi taaruf hai chaar harfon mein
charagh fan ke jalaenge hum andheron mein
shuur fikr ki mashal hai apne hathon mein
shab-e-firaq chamakne lage dar-o-diwar
mah-o-nujum bhi shamil hain mere ashkon mein
abhi zamane mein namrud ki KHudai hai
zara KHalil to aaen KHuda shanason mein
bala-kashon ne sambhaale hain TuTe paimane
huzur aap kahan aae dil-shikaston mein
wo aaine ke muqabil bhi runuma na hua
wo ek shaKHs jo baiTha hai chhup ke aankhon mein
nazar nazar hai tasadduq tere nazaron par
nafas nafas hai charaghan meri nigahon mein
agar 'hayat' KHazaf se sadaf na ban jae
shumar is ka bhi hota hai sang-rezo mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.