qaza ke tir jab jab abru-e-qatil se nikle hain
qaza ke tir jab jab abru-e-qatil se nikle hain
Munfarid Gorakhpuri
MORE BYMunfarid Gorakhpuri
qazā ke tiir jab jab abrū-e-qātil se nikle haiñ
jazāk-allāh ke na.are dil-e-bismil se nikle haiñ
kuchh aise kaam mere jazba-e-kāmil se nikle haiñ
vo mere saath hī hañgāma-e-mahfil se nikle haiñ
fazā.eñ gūñjtī haiñ aur fitrat raqs kartī hai
kuchh aise dard ke naġhme hamāre dil se nikle haiñ
jale haiñ dost bhī dushman bhī parvāne bhī sham.eñ bhī
ġharaz sab ḳhaak kar ke aap kī mahfil se nikle haiñ
mohabbat ibtidā apnī mohabbat intihā apnī
usī manzil ko jaanā hai usī manzil se nikle hai
zamīn-e-sañg se gul-hā-e-naġhma kī tavaqqo kyā
baḌe āsān misre bhī baḌī mushkil se nikle haiñ
qaza ke tir jab jab abru-e-qatil se nikle hain
jazak-allah ke nare dil-e-bismil se nikle hain
kuchh aise kaam mere jazba-e-kaamil se nikle hain
wo mere sath hi hangama-e-mahfil se nikle hain
fazaen gunjti hain aur fitrat raqs karti hai
kuchh aise dard ke naghme hamare dil se nikle hain
jale hain dost bhi dushman bhi parwane bhi shamen bhi
gharaz sab KHak kar ke aap ki mahfil se nikle hain
mohabbat ibtida apni mohabbat intiha apni
usi manzil ko jaana hai usi manzil se nikle hai
zamin-e-sang se gul-ha-e-naghma ki tawaqqo kya
baDe aasan misre bhi baDi mushkil se nikle hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.