qaza ki zad se rah-e-zindagi mein le aao
qazā kī zad se rah-e-zindagī meñ le aao
pakaḌ ke haath hameñ raushnī meñ le aao
bas ek vo hī nahīñ hai hamārī mahfil meñ
zarā use bhī manā kar galī meñ le aao
diloñ kā haal bhī she'roñ meñ Dhal ke aa.e magar
zarā hunar bhī agar shā'irī meñ le aao
maiñ us nigāh se ḳhalvat meñ milnā chāhtā thā
agar nahīñ to chalo bazm hī meñ le aao
umiid TuuT na jaa.e kahīñ un āñkhoñ kī
kisī bhī tarh unheñ raushnī meñ le aao
qaza ki zad se rah-e-zindagi mein le aao
pakaD ke hath hamein raushni mein le aao
bas ek wo hi nahin hai hamari mahfil mein
zara use bhi mana kar gali mein le aao
dilon ka haal bhi she'ron mein Dhal ke aae magar
zara hunar bhi agar sha'iri mein le aao
main us nigah se KHalwat mein milna chahta tha
agar nahin to chalo bazm hi mein le aao
umid TuT na jae kahin un aankhon ki
kisi bhi tarh unhen raushni mein le aao
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 45)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.