qirtas pe lahu si chamakti rahi ghazal
qirtās pe lahū sī chamaktī rahī ġhazal
anvār-e-fikr-o-fan se damaktī rahī ġhazal
ḳhushbū-e-zulf-e-yār thī ehsās-o-fikr meñ
zehnoñ meñ ahl-e-fan ke mahaktī rahī ġhazal
vaj.h-e-sukūn-e-dil to kabhī ban ke iztirāb
siine meñ dil kī tarh dhaḌaktī rahī ġhazal
gesū-e-‘ambarīñ hai ki shāḳh-e-gulāb hai
aahaT havā kī pā ke lachaktī rahī ġhazal
ghar se nikal ke 'ġhālib'-o-'saudā'-o-'mīr' ke
sahrā meñ zindagī ke bhaTaktī rahī ġhazal
zulfeñ sañvārne lagī doshīza-e-hayāt
mahfil meñ is adā se chahaktī rahī ġhazal
misl-e-sharāb sāġhar-e-'ḳhayyām' se 'adīm'
hāthoñ meñ mai-kashoñ ke chhalaktī rahī ġhazal
qirtas pe lahu si chamakti rahi ghazal
anwar-e-fikr-o-fan se damakti rahi ghazal
KHushbu-e-zulf-e-yar thi ehsas-o-fikr mein
zehnon mein ahl-e-fan ke mahakti rahi ghazal
wajh-e-sukun-e-dil to kabhi ban ke iztirab
sine mein dil ki tarh dhaDakti rahi ghazal
gesu-e-‘ambarin hai ki shaKH-e-gulab hai
aahaT hawa ki pa ke lachakti rahi ghazal
ghar se nikal ke 'ghaalib'-o-'sauda'-o-'mir' ke
sahra mein zindagi ke bhaTakti rahi ghazal
zulfen sanwarne lagi doshiza-e-hayat
mahfil mein is ada se chahakti rahi ghazal
misl-e-sharab saghar-e-'KHayyam' se 'adim'
hathon mein mai-kashon ke chhalakti rahi ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.