qismat der nahīñ kartī hai jis ko dariyā dene meñ
aksar der lagātī hai vo us ko tinkā dene meñ
apnī marzī se mat jaanā tū khaa.ī ke kināre tak
vaqt ke haath nahīñ kāñpeñge tujh ko dhakkā dene meñ
tujh ko tijorī meñ rakhne kā mujh ko koī shauq nahīñ
mujh ko ḳharch nahīñ honā hai tujh par pahra dene meñ
tū ne kam māñgā hai mujh ko lekin merī bhī to soch
puurā ḳhatm na ho jā.ūñ maiñ thoḌā thoḌā dene meñ
sab ko rasta mil jaane de un kī manzil kā bhagvan
mujh ko manzil mil jaane de sab ko rasta dene meñ
qismat der nahin karti hai jis ko dariya dene mein
aksar der lagati hai wo us ko tinka dene mein
apni marzi se mat jaana tu khai ke kinare tak
waqt ke hath nahin kanpenge tujh ko dhakka dene mein
tujh ko tijori mein rakhne ka mujh ko koi shauq nahin
mujh ko KHarch nahin hona hai tujh par pahra dene mein
tu ne kam manga hai mujh ko lekin meri bhi to soch
pura KHatm na ho jaun main thoDa thoDa dene mein
sab ko rasta mil jaane de un ki manzil ka bhagwan
mujh ko manzil mil jaane de sab ko rasta dene mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.