qismat ki lakiron ke sitam humne sahe hain
qismat kī lakīroñ ke sitam ham ne sahe haiñ
dariyā the kabhī ham bhī par ab pyāse khaḌe haiñ
sahrā meñ diyā ban ke jinheñ rasta dikhāyā
vo log havāoñ ke qabīle meñ khaḌe haiñ
bastī meñ hamārī haiñ bahut chāñd sitāre
sūraj ke ishāroñ pe magar chalne lage haiñ
dastār ko qadmoñ meñ kisī ke nahīñ rakkhā
ye baat alag hai ki ġharībī meñ pale haiñ
tum ā.inoñ ko zang lagā kar kahīñ rakh do
ham ā.inoñ se baat tirī karne lage haiñ
ḳhvāboñ ke pulande ko liye saath meñ tanhā
tā'bīr ke bāzār meñ barsoñ se khaḌe haiñ
ḳhvāboñ meñ har ik raat tirā aa ke satānā
be-sāḳhta har ḳhvāb pe ham hañsne lage haiñ
ye nuur jo uThtā huā tum dekh rahe ho
ye ashk hamāre haiñ jo āñkhoñ se Dhale haiñ
vo ghar jo buzurgoñ ne banāyā thā lahū se
din-rāt 'vasīm' us kī marammat meñ lage haiñ
qismat ki lakiron ke sitam hum ne sahe hain
dariya the kabhi hum bhi par ab pyase khaDe hain
sahra mein diya ban ke jinhen rasta dikhaya
wo log hawaon ke qabile mein khaDe hain
basti mein hamari hain bahut chand sitare
suraj ke ishaaron pe magar chalne lage hain
dastar ko qadmon mein kisi ke nahin rakkha
ye baat alag hai ki gharibi mein pale hain
tum aainon ko zang laga kar kahin rakh do
hum aainon se baat teri karne lage hain
KHwabon ke pulande ko liye sath mein tanha
ta'bir ke bazar mein barson se khaDe hain
KHwabon mein har ek raat tera aa ke satana
be-saKHta har KHwab pe hum hansne lage hain
ye nur jo uThta hua tum dekh rahe ho
ye ashk hamare hain jo aankhon se Dhale hain
wo ghar jo buzurgon ne banaya tha lahu se
din-raat 'wasim' us ki marammat mein lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.