qismat mein hain barbaadiyan yaad-e-watan se kya gharaz
qismat mein hain barbaadiyan yaad-e-watan se kya gharaz
Nazish Badayuni
MORE BYNazish Badayuni
qismat meñ haiñ barbādiyāñ yād-e-vatan se kyā ġharaz
maiñ phuul huuñ TuuTā huā mujh ko chaman se kyā ġharaz
tū ne phirāyā dar-ba-dar taqdīr se kyā vāsta
tū ne milāyā ḳhaak meñ charḳh-e-kuhan se kyā ġharaz
ġhunche kahīñ khil kar hañseñ hañs kar tape kī kuchh kaheñ
mauj-e-tabassum ko bhalā tere dahan se kyā ġharaz
kyā qatl se dil shaad hai kahnā kisī kā yaad hai
mere shahīd-e-nāz ko qaid-e-kafan se kyā ġharaz
sad-chāk dāmāñ ho to ho TukḌe garebāñ ho to ho
ham aur hī aalam meñ haiñ ab tan-badan se kyā ġharaz
'nāzish' na chhoḌo shaġhl-e-mai taqvā kā da.avā hai riyā
tum sāf-bātin rind ho is makr-o-fan se kyā ġharaz
qismat mein hain barbaadiyan yaad-e-watan se kya gharaz
main phul hun TuTa hua mujh ko chaman se kya gharaz
tu ne phiraya dar-ba-dar taqdir se kya wasta
tu ne milaya KHak mein charKH-e-kuhan se kya gharaz
ghunche kahin khil kar hansen hans kar tape ki kuchh kahen
mauj-e-tabassum ko bhala tere dahan se kya gharaz
kya qatl se dil shad hai kahna kisi ka yaad hai
mere shahid-e-naz ko qaid-e-kafan se kya gharaz
sad-chaak daman ho to ho TukDe gareban ho to ho
hum aur hi aalam mein hain ab tan-badan se kya gharaz
'nazish' na chhoDo shaghl-e-mai taqwa ka dawa hai riya
tum saf-baatin rind ho is makr-o-fan se kya gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.