qismat se jis kisi ko tera aastan mile
qismat se jis kisī ko tirā āstāñ mile
us kā mizāj farsh-e-zamīñ par kahāñ mile
har ek ko ye rutba-e-ālī kahāñ mile
vo ḳhush-nasīb hai jise dard-e-nihāñ mile
sahbā-e-ishq ma.arifat-e-haq mile mujhe
phir kuchh yahāñ mile na mujhe kuchh vahāñ mile
tūfāñ kī zad pe rakkhī huī sham.a kī tarah
ham log be-amāñ haiñ hameñ bhī amaañ mile
mā'lūm ye huā ki tirī anjuman thī vo
ahl-e-zabāñ bhī ham ko jahāñ be-zabāñ mile
nādāñ hisār-e-zāt se bāhar nikal ke dekh
gum-karda kā.enāt kā shāyad nishāñ mile
'hamza' bhaTak rahe haiñ bhalā kis dayār meñ
chaliye vahāñ zamīñ se jahāñ āsmāñ mile
qismat se jis kisi ko tera aastan mile
us ka mizaj farsh-e-zamin par kahan mile
har ek ko ye rutba-e-ali kahan mile
wo KHush-nasib hai jise dard-e-nihan mile
sahba-e-ishq marifat-e-haq mile mujhe
phir kuchh yahan mile na mujhe kuchh wahan mile
tufan ki zad pe rakkhi hui shama ki tarah
hum log be-aman hain hamein bhi aman mile
ma'lum ye hua ki teri anjuman thi wo
ahl-e-zaban bhi hum ko jahan be-zaban mile
nadan hisar-e-zat se bahar nikal ke dekh
gum-karda kaenat ka shayad nishan mile
'hamza' bhaTak rahe hain bhala kis dayar mein
chaliye wahan zamin se jahan aasman mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.