Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qissa-e-dard-e-jigar kis se kahun kaise kahun

Mayank Akbarabadi

qissa-e-dard-e-jigar kis se kahun kaise kahun

Mayank Akbarabadi

MORE BYMayank Akbarabadi

    qissa-e-dard-e-jigar kis se kahūñ kaise kahūñ

    ye mohabbat asar kis se kahūñ kaise kahūñ

    raat bhar sham-e-nazar raushan kiye baiThā rahā

    vo na aa.e tā-sahar kis se kahūñ kaise kahūñ

    dil mirā betāb hai kis tajallī ke liye

    kyoñ pareshāñ hai nazar kis se kahūñ kaise kahūñ

    kaun hai āḳhir vo kis ke naqsh-e-pā ke vāste

    muntazir hai rahguzar kis se kahūñ kaise kahūñ

    pūchhne ko aa.e haiñ ahbāb merā hāl-e-dil

    kahnā to chāhūñ magar kis se kahūñ kaise kahūñ

    kaise kaise dukh uThā.e maiñ ne rāh-e-shauq meñ

    dāstān-e-pur-asar kis se kahūñ kaise kahūñ

    bā.is-e-rahmat hai hai bā.is-e-zahmat 'mayank'

    ik mohabbat nazar kis se kahūñ kaise kahūñ

    qissa-e-dard-e-jigar kis se kahun kaise kahun

    ye mohabbat ka asar kis se kahun kaise kahun

    raat bhar sham-e-nazar raushan kiye baiTha raha

    wo na aae ta-sahar kis se kahun kaise kahun

    dil mera betab hai kis ki tajalli ke liye

    kyon pareshan hai nazar kis se kahun kaise kahun

    kaun hai aaKHir wo kis ke naqsh-e-pa ke waste

    muntazir hai rahguzar kis se kahun kaise kahun

    puchhne ko aae hain ahbab mera haal-e-dil

    kahna to chahun magar kis se kahun kaise kahun

    kaise kaise dukh uThae main ne rah-e-shauq mein

    dastan-e-pur-asar kis se kahun kaise kahun

    bais-e-rahmat hai ya hai bais-e-zahmat 'mayank'

    ek mohabbat ki nazar kis se kahun kaise kahun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now