qissa-e-hijr-o-wafa apna sunao to sahi
qissa-e-hijr-o-vafā apnā sunāo to sahī
aise hī roz mujhe paas bulāo to sahī
kyā koī dard kā tūfān hai sar par guzrā
itne ḳhāmosh bhalā kyoñ ho batāo to sahī
kuchh to ulfat kī rivāyat kā bharam rakh lenā
maan jā.eñge zarā ham ko manāo to sahī
kyā pata itnī ye vus.at hai kahāñ se aa.ī
ham se jo roz ye kahtā hai ki aao to sahī
saare taskīn ke paimāne chhalak aa.e haiñ
phir koī vasl kī mahfil ko sajāo to sahī
gar vo pighlegā to ik roz chalā aa.egā
ishq kī lau ko abhī aur jalāo to sahī
qissa-e-hijr-o-wafa apna sunao to sahi
aise hi roz mujhe pas bulao to sahi
kya koi dard ka tufan hai sar par guzra
itne KHamosh bhala kyon ho batao to sahi
kuchh to ulfat ki riwayat ka bharam rakh lena
man jaenge zara hum ko manao to sahi
kya pata itni ye wusat hai kahan se aai
hum se jo roz ye kahta hai ki aao to sahi
sare taskin ke paimane chhalak aae hain
phir koi wasl ki mahfil ko sajao to sahi
gar wo pighlega to ek roz chala aaega
ishq ki lau ko abhi aur jalao to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.