qisse bachpan ke sunate hue Dar lagta hai
qisse bachpan ke sunāte hue Dar lagtā hai
naav kāġhaz kī banāte hue Dar lagtā hai
ek number jo mobile meñ paḌā hai kab se
us pe ab call lagāte hue Dar lagtā hai
ḳhushk ho jaa.eñ kisī roz na merī āñkheñ
is qadar ashk bahāte hue Dar lagtā hai
zindagī pūchh na baiThe tire baare meñ kahīñ
terī tasvīr banāte hue Dar lagtā hai
ye na.e log mohabbat meñ na pāgal ho jaa.eñ
in ko ash'ār sunāte hue Dar lagtā hai
us ne ābād kahīñ kar lī hai apnī duniyā
ḳhud ko ye baat batāte hue Dar lagtā hai
qisse bachpan ke sunate hue Dar lagta hai
naw kaghaz ki banate hue Dar lagta hai
ek number jo mobile mein paDa hai kab se
us pe ab call lagate hue Dar lagta hai
KHushk ho jaen kisi roz na meri aankhen
is qadar ashk bahate hue Dar lagta hai
zindagi puchh na baiThe tere bare mein kahin
teri taswir banate hue Dar lagta hai
ye nae log mohabbat mein na pagal ho jaen
in ko ash'ar sunate hue Dar lagta hai
us ne aabaad kahin kar li hai apni duniya
KHud ko ye baat batate hue Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.