qiyam-e-alam-e-fani nahin qiyam abhi
qiyām-e-ālam-e-fānī nahīñ qiyām abhī
bashar ki is pe hai masrūf-e-ehtimām abhī
tumhāre dard ko hāsil nahīñ davām abhī
ki hai ḳhayāl tumhārā ḳhayāl-e-ḳhām abhī
maiñ us se qat'-e-ta'alluq kā dā'vedār to huuñ
magar hai dil ki hai us shoḳh kā ġhulām abhī
kisī ne rū-e-munavvar se zulf jhaTkī hai
abhī tulū'-e-sahar hai huī thī shaam abhī
badal rahī hai halāvat meñ talḳhī-e-ayyām
mirī zabān pe aayā thā terā naam abhī
jalā diye haiñ sar-e-shām dāġh-e-dil ham ne
vo un kā aanā aur aane kā ehtimām abhī
‘ilāj-e-gardish-e-ayyām hone vaalā hai
zarā sī der hai gardish meñ aayā jaam abhī
jahāñ pahuñchne ke letā huuñ ḳhvāb bachpan se
hai kitnā duur ḳhudāvand vo maqām abhī
qazā ne dī mujhe mohlat na muskurāne kī
ġham-e-hayāt se lenā thā intiqām abhī
jahāñ ki rāh-rau rukte haiñ saañs lene ko
hamārī ziist meñ aayā nahīñ maqām abhī
abhī to raah meñ baaqī haiñ laakh nazzāre
ai asp-e-umr zarā ho na tez-gām abhī
vo jis se 'ishq kā anjām mere sāmne hai
nahīñ huī mirī us se du'ā salām abhī
abhī se is tarah māyūs hoñ na ahl-e-bazm
'amar' se bazm-e-suḳhan meñ haiñ ḳhush-kalām abhī
qiyam-e-alam-e-fani nahin qiyam abhi
bashar ki is pe hai masruf-e-ehtimam abhi
tumhaare dard ko hasil nahin dawam abhi
ki hai KHayal tumhaara KHayal-e-KHam abhi
main us se qat'-e-ta'alluq ka da'wedar to hun
magar hai dil ki hai us shoKH ka ghulam abhi
kisi ne ru-e-munawwar se zulf jhaTki hai
abhi tulu'-e-sahar hai hui thi sham abhi
badal rahi hai halawat mein talKHi-e-ayyam
meri zaban pe aaya tha tera nam abhi
jala diye hain sar-e-sham dagh-e-dil hum ne
wo un ka aana aur aane ka ehtimam abhi
‘ilaj-e-gardish-e-ayyam hone wala hai
zara si der hai gardish mein aaya jam abhi
jahan pahunchne ke leta hun KHwab bachpan se
hai kitna dur KHudawand wo maqam abhi
qaza ne di mujhe mohlat na muskurane ki
gham-e-hayat se lena tha intiqam abhi
jahan ki rah-rau rukte hain sans lene ko
hamari zist mein aaya nahin maqam abhi
abhi to rah mein baqi hain lakh nazzare
ai asp-e-umr zara ho na tez-gam abhi
wo jis se 'ishq ka anjam mere samne hai
nahin hui meri us se du'a salam abhi
abhi se is tarah mayus hon na ahl-e-bazm
'amar' se bazm-e-suKHan mein hain KHush-kalam abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.