qubul hai gham-e-duniya tere hawale se
qubūl hai ġham-e-duniyā tire havāle se
ye bojh varna sañbhaltā nahīñ sambhāle se
surāġh apnā udhar hī kahīñ mile shāyad
tane hue haiñ jidhar makḌiyoñ ke jaale se
maiñ ek zarra-e-āvāra aur mirī ḳhātir
samundaroñ sī ye rāteñ ye din himāle se
khulī to rakhtā huuñ maiñ ghar kī khiḌkiyāñ lekin
vahī tamām nazāre haiñ dekhe-bhāle se
kisī kī yaad bhī unvān-e-bevafā.ī thī
paḌe haiñ paañv meñ qabl-e-safar bhī chhāle se
sukūn kitnā hai jī ko ye soch kar ki hameñ
haram se koī 'ilāqa na ab shivāle se
ye kam nahīñ ki maiñ us kī du'ā meñ shāmil huuñ
kuchh aur chāhiye kyā duur jaane vaale se
qubul hai gham-e-duniya tere hawale se
ye bojh warna sanbhalta nahin sambhaale se
suragh apna udhar hi kahin mile shayad
tane hue hain jidhar makDiyon ke jale se
main ek zarra-e-awara aur meri KHatir
samundaron si ye raaten ye din himale se
khuli to rakhta hun main ghar ki khiDkiyan lekin
wahi tamam nazare hain dekhe-bhaale se
kisi ki yaad bhi unwan-e-bewafai thi
paDe hain panw mein qabl-e-safar bhi chhaale se
sukun kitna hai ji ko ye soch kar ki hamein
haram se koi 'ilaqa na ab shiwale se
ye kam nahin ki main us ki du'a mein shamil hun
kuchh aur chahiye kya dur jaane wale se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.