qubul karte hue ijtinab karte hue
qubūl karte hue ijtināb karte hue
koī ḳhalish sī rahī intiḳhāb karte hue
kuchh itnā fāsla thā mujh meñ aur qāfile meñ
safar tamām huā ham-rikāb karte hue
ye kis kā naam ubharne lagā hai kāġhaz par
bayāz-e-'umr tirā intisāb karte hue
ḳhud apne aap pe tartīb-vār khultā huuñ
rumūz-e-kaun-o-makāñ be-hijāb karte hue
'ajīb yāft-o-nuqsān hai mohabbat kā
maiñ sharmsār huā huuñ hisāb karte hue
tumhāre baa'd maiñ duniyā kī samt dekhtā huuñ
dil-o-nigāh ko vaqf-e-'azāb karte hue
qubul karte hue ijtinab karte hue
koi KHalish si rahi intiKHab karte hue
kuchh itna fasla tha mujh mein aur qafile mein
safar tamam hua ham-rikab karte hue
ye kis ka nam ubharne laga hai kaghaz par
bayaz-e-'umr tera intisab karte hue
KHud apne aap pe tartib-war khulta hun
rumuz-e-kaun-o-makan be-hijab karte hue
'ajib yaft-o-nuqsan hai mohabbat ka
main sharmsar hua hun hisab karte hue
tumhaare ba'd main duniya ki samt dekhta hun
dil-o-nigah ko waqf-e-'azab karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.