qubul kijiye inkar ka maqam nahin
qubūl kījiye inkār kā maqām nahīñ
ye jām-e-mai hai parī-vasl kā payām nahīñ
ajiib hai ye sarāpā kamar kā naam nahīñ
kuchh un kī be-dahnī meñ mujhe kalām nahīñ
hai kaun shaiḳh-o-barahman jo dil se raam nahīñ
tumhārā dair se kab tā-haram ḳhirām nahīñ
liyā jo mol zuleḳhā ne māh-e-kan.āñ ko
kahā jamāl ne sāhab huuñ maiñ ġhulām nahīñ
bahak na jā.ūñ jo pī jā.ūñ bahr-e-mai saaqī
savārī hech hai jab haath meñ lagām nahīñ
uThā le haath jafā-o-sitam se ai zālim
ḳhudā ke paas bhī is se baḌā salām nahīñ
safeñ haiñ jaam kī mai-ḳhāna apnī masjid hai
ba-juz sharāb kī botal ke yaañ imaam nahīñ
jo ek bosa-e-lab luuñ hazār shukr karūñ
tire raqīb sā maiñ bhī namak-harām nahīñ
maiñ aap kartī huuñ ḳhidmat kahā zuleḳhā ne
tirī ġhulāmī ke laa.eq koī ġhulām nahīñ
vazīfa hai tire husn-o-adā-o-ġhamze kā
kisī bashar kī zabāñ par kisī kā naam nahīñ
mire gunāhoñ ko aur kis se baḳhshvā.ūñ maiñ
shafī.a juz tire yā sayyad-e-anām nahīñ
firāq meñ nahīñ piitā maiñ aab tak mai kyā
ilāhī banda tirā shārib-e-mudām nahīñ
chale na jaa.e vo ghar ko usī bahāne se
sunā do mere janāze ko izn-e-ām nahīñ
hujūm-o-yās-o-alam dil ko mere ghere haiñ
ki muntazir hai jamā.at magar imaam nahīñ
kab aane paatā hai rindoñ meñ naam zāhid kā
hamārī bazm meñ bole kabāb-e-ḳhām nahīñ
na phuul jaao 'nasīm' un ke phuul pheñke par
guloñ kī mehr-o-mohabbat ko kuchh qayām nahīñ
qubul kijiye inkar ka maqam nahin
ye jam-e-mai hai pari-wasl ka payam nahin
ajib hai ye sarapa kamar ka nam nahin
kuchh un ki be-dahni mein mujhe kalam nahin
hai kaun shaiKH-o-barahman jo dil se ram nahin
tumhaara dair se kab ta-haram KHiram nahin
liya jo mol zuleKHa ne mah-e-kanan ko
kaha jamal ne sahab hun main ghulam nahin
bahak na jaun jo pi jaun bahr-e-mai saqi
sawari hech hai jab hath mein lagam nahin
uTha le hath jafa-o-sitam se ai zalim
KHuda ke pas bhi is se baDa salam nahin
safen hain jam ki mai-KHana apni masjid hai
ba-juz sharab ki botal ke yan imam nahin
jo ek bosa-e-lab lun hazar shukr karun
tere raqib sa main bhi namak-haram nahin
main aap karti hun KHidmat kaha zuleKHa ne
teri ghulami ke laeq koi ghulam nahin
wazifa hai tere husn-o-ada-o-ghamze ka
kisi bashar ki zaban par kisi ka nam nahin
mere gunahon ko aur kis se baKHshwaun main
shafia juz tere ya sayyad-e-anam nahin
firaq mein nahin pita main aab tak mai kya
ilahi banda tera shaarib-e-mudam nahin
chale na jae wo ghar ko usi bahane se
suna do mere janaze ko izn-e-am nahin
hujum-o-yas-o-alam dil ko mere ghere hain
ki muntazir hai jamaat magar imam nahin
kab aane pata hai rindon mein nam zahid ka
hamari bazm mein bole kabab-e-KHam nahin
na phul jao 'nasim' un ke phul phenke par
gulon ki mehr-o-mohabbat ko kuchh qayam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.