qudrat hai ab na dil pe na qabu zaban par
qudrat hai ab na dil pe na qaabū zabān par
qadmoñ pe un ke sar hai dimāġh āsmān par
ye rāz-e-ishq aa gayā jis din zabān par
hogā falak zamīñ pe zamīñ āsmān par
saaqī kī vo nazar hai na sāġhar kī gardisheñ
ab kyā rakhā hai pīr-e-muġhāñ kī dūkān par
allāh un ke barq-e-tabassum kī ḳhair ho
maḳhlūq ro rahī hai mirī dāstān par
āzādiyāñ bhī apnī asīrī se kam nahīñ
jo dil meñ hai vo lā nahīñ sakte zabān par
ab un kī justujū hai na apnī talāsh hai
jab se vo chhā ga.e haiñ hamāre gumān par
apnī zabāñ se kyoñ maiñ kisī ko burā kahūñ
khul jā.egī har ek vafā imtihān par
ye husn-o-ishq donoñ haqīqat meñ ek haiñ
lekin ye raaz lā nahīñ saktā zabān par
bār-e-zamīñ hai aaj hamārā vajūd bhī
rahtā thā ye dimāġh kabhī āsmān par
kaunain mere husn kā ik aks hai 'munīr'
chhā.ī huī haiñ dil kī ziyā.eñ jahān par
qudrat hai ab na dil pe na qabu zaban par
qadmon pe un ke sar hai dimagh aasman par
ye raaz-e-ishq aa gaya jis din zaban par
hoga falak zamin pe zamin aasman par
saqi ki wo nazar hai na saghar ki gardishen
ab kya rakha hai pir-e-mughan ki dukan par
allah un ke barq-e-tabassum ki KHair ho
maKHluq ro rahi hai meri dastan par
aazadiyan bhi apni asiri se kam nahin
jo dil mein hai wo la nahin sakte zaban par
ab un ki justuju hai na apni talash hai
jab se wo chha gae hain hamare guman par
apni zaban se kyon main kisi ko bura kahun
khul jaegi har ek wafa imtihan par
ye husn-o-ishq donon haqiqat mein ek hain
lekin ye raaz la nahin sakta zaban par
bar-e-zamin hai aaj hamara wajud bhi
rahta tha ye dimagh kabhi aasman par
kaunain mere husn ka ek aks hai 'munir'
chhai hui hain dil ki ziyaen jahan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.