qudrat hai turfa-kar tujhe kuchh KHabar bhi hai
qudrat hai turfa-kār tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
vo ā.ina-shikan bhī hai ā.īna-gar bhī hai
sahrā ko chhoḌ deñ to kahāñ jā ke ye raheñ
āvārgān-e-ishq-o-mohabbat kā ghar bhī hai
masjūd kā.enāt ho jaise nazar-navāz
kitnā latīf vaqt tulū-e-sahar bhī hai
ka.abe kā ehtirām hai ik farz-e-ḳhush-gavār
maiñ kyā karūñ nazar meñ tirā sañg-e-dar bhī hai
saaqī vo mai pilā ki hamesha rahe surūr
mahfil meñ mujh sā bāda-kash-e-mo'atabar bhī hai
nā-āshnā-e-ġhairat-parvāz haiñ asiir
qaid-e-qafas meñ tazkira-e-bāl-o-par bhī hai
taqdīr naaz kartī hai hotī hai jab nasīb
'shāriq' shikast-e-dil ko naved-e-zafar bhī hai
qudrat hai turfa-kar tujhe kuchh KHabar bhi hai
wo aaina-shikan bhi hai aaina-gar bhi hai
sahra ko chhoD den to kahan ja ke ye rahen
aawargan-e-ishq-o-mohabbat ka ghar bhi hai
masjud kaenat ho jaise nazar-nawaz
kitna latif waqt tulu-e-sahar bhi hai
kabe ka ehtiram hai ek farz-e-KHush-gawar
main kya karun nazar mein tera sang-e-dar bhi hai
saqi wo mai pila ki hamesha rahe surur
mahfil mein mujh sa baada-kash-e-mo'atabar bhi hai
na-ashna-e-ghairat-parwaz hain asir
qaid-e-qafas mein tazkira-e-baal-o-par bhi hai
taqdir naz karti hai hoti hai jab nasib
'shaariq' shikast-e-dil ko nawed-e-zafar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.