qudrat ka mojiza hai ye dilchasp Dhang ka
qudrat kā mo'jiza hai ye dilchasp Dhang kā
gul se badan ko dil hai diyā ek sang kā
sab sabz-o-surḳh sāmne us ke the sajda-rez
kuchh bhī na kā.enāt meñ thā us ke rang kā
haare hue sipāhiyo uTh jaao aur laḌo
e'lān kar rahā huuñ maiñ ik aur jang kā
detā nahīñ hai dar se faqīroñ ko kuchh bhī vo
allāh ab 'ilāj kare dast-e-tang kā
qudrat ka mo'jiza hai ye dilchasp Dhang ka
gul se badan ko dil hai diya ek sang ka
sab sabz-o-surKH samne us ke the sajda-rez
kuchh bhi na kaenat mein tha us ke rang ka
haare hue sipahiyo uTh jao aur laDo
e'lan kar raha hun main ek aur jang ka
deta nahin hai dar se faqiron ko kuchh bhi wo
allah ab 'ilaj kare dast-e-tang ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.