qudratan baKHshi gai hai ek shakebai mujhe
qudratan baḳhshī ga.ī hai ik shakebā.ī mujhe
ye ġhurūr-e-dil thā jab tak vo na yaad aa.ī mujhe
hai dushāsan yaas kā aur ḳhvāb kī uryāniyāñ
zindagī tū kaun se chausar meñ haar aa.ī mujhe
merī ḳhalvat meñ ḳhalal mujh ko gavāra hī nahīñ
kitnī mushkil se milā thā ik shanāsā.ī mujhe
mujh ko chāhā to gayā par sirf paane ke liye
zindagī mārīch kī to maut maar aa.ī mujhe
joḌ kar in ko koī sahrā banā saktā thā tū
ai ḳhudā tū ne atā kī jitnī tanhā.ī mujhe
qudratan baKHshi gai hai ek shakebai mujhe
ye ghurur-e-dil tha jab tak wo na yaad aai mujhe
hai dushasan yas ka aur KHwab ki uryaniyan
zindagi tu kaun se chausar mein haar aai mujhe
meri KHalwat mein KHalal mujh ko gawara hi nahin
kitni mushkil se mila tha ek shanasai mujhe
mujh ko chaha to gaya par sirf pane ke liye
zindagi marich ki to maut mar aai mujhe
joD kar in ko koi sahra bana sakta tha tu
ai KHuda tu ne ata ki jitni tanhai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.