qurb ke tasawwur se dosti bana Dalen
qurb ke tasavvur se dostī banā Dāleñ
raat sā surūr-afzā din ko bhī banā Dāleñ
saath saath jiine aur marne kī qasam khā kar
pahlī pahlī chāhat ko āḳhirī banā Dāleñ
yādoñ ke diye rakh kar ishq ke shabistāñ meñ
aao is añdhere ko raushnī banā Dāleñ
āshnā.ī ko rang-e-āshiqī atā karke
chaliye is takalluf ko dilbarī banā Dāleñ
aur paas aa jānāñ palkoñ ko uThā jānāñ
āñkhoñ kī ziyārat ko mai-kashī banā Dāleñ
us kī bevafā.ī kā sog āḳhirash kab tak
kyoñ na ab har ik ġham ko ham ḳhushī banā Dāleñ
itne dhoke khaa.e haiñ ab ye dil meñ aatā hai
har shanāsā chehre ko ajnabī banā Dāleñ
bāzuoñ meñ ham apne quvvat-e-amal rakh kar
maut ke thapeḌe ko zindagī banā Dāleñ
qurb ke tasawwur se dosti bana Dalen
raat sa surur-afza din ko bhi bana Dalen
sath sath jine aur marne ki qasam kha kar
pahli pahli chahat ko aaKHiri bana Dalen
yaadon ke diye rakh kar ishq ke shabistan mein
aao is andhere ko raushni bana Dalen
aashnai ko rang-e-ashiqi ata karke
chaliye is takalluf ko dilbari bana Dalen
aur pas aa jaanan palkon ko uTha jaanan
aankhon ki ziyarat ko mai-kashi bana Dalen
us ki bewafai ka sog aaKHirash kab tak
kyon na ab har ek gham ko hum KHushi bana Dalen
itne dhoke khae hain ab ye dil mein aata hai
har shanasa chehre ko ajnabi bana Dalen
bazuon mein hum apne quwwat-e-amal rakh kar
maut ke thapeDe ko zindagi bana Dalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.