qurb ki lazzat ne aaKHir tumko tanha kar diya
qurb kī lazzat ne āḳhir tum ko tanhā kar diyā
ḳhvāhishoñ kī dhuup ne mujh ko bhī sahrā kar diyā
be-sabab milte nahīñ haiñ log apne aap se
ḳhud se milne kī tamannāoñ ne būḌhā kar diyā
mere darvāze pe aa kar raat bhar rotī rahī
sar-kaTī 'aurat ne ik hangāma barpā kar diyā
dil ke bosīda makāñ meñ ḳhema-zan thiiñ zulmateñ
aaj lekin vaqt ne aa kar ujālā kar diyā
har mahājan ḳhuun merā chūsne par hai musir
zā.iqa mere lahū kā kis ne mīThā kar diyā
chhalnī chhalnī jism kī 'parvez' ab hālat na pūchh
vaqt ke patthar ne mujh ko reza-reza kar diyā
qurb ki lazzat ne aaKHir tum ko tanha kar diya
KHwahishon ki dhup ne mujh ko bhi sahra kar diya
be-sabab milte nahin hain log apne aap se
KHud se milne ki tamannaon ne buDha kar diya
mere darwaze pe aa kar raat bhar roti rahi
sar-kaTi 'aurat ne ek hangama barpa kar diya
dil ke bosida makan mein KHema-zan thin zulmaten
aaj lekin waqt ne aa kar ujala kar diya
har mahajan KHun mera chusne par hai musir
zaiqa mere lahu ka kis ne miTha kar diya
chhalni chhalni jism ki 'parwez' ab haalat na puchh
waqt ke patthar ne mujh ko reza-reza kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.