qurbani-e-insan ka nahin shauq gar usko
qurbānī-e-insāñ kā nahīñ shauq gar us ko
phir eid ke din kyoñ mujhe zindāñ se nikālā
ahbāb ke kāñdhe se girā jaatā thā jis dam
tābūt mirā gor-e-ġharībāñ se nikālā
taqdīr ne sāhil pe kiye saikḌoñ phere
taḳhta na hamārā kabhī tūfāñ se nikālā
shāna dil-e-sad-chāk ke naqsha se banāyā
ā.īna mire dīda-e-hairāñ se nikālā
vo tifl-e-sharīr aur se kab chūke hai jis ne
ustād ko do din meñ dabistāñ se nikālā
lailā bhī magar parda-e-mahmil kī thī dushman
naaqa ko ragaḌ kar jo muġhīlāñ se nikālā
zid mujh se thī majnūñ kī hikāyat kā phir ai jaan
kyoñ tum ne varaq apne gulistāñ se nikālā
ab tak mirī aahoñ meñ hai sumbul kī sī ḳhushbū
ik din jo dhuāñ yaar ke quliyāñ se nikālā
qurbani-e-insan ka nahin shauq gar us ko
phir eid ke din kyon mujhe zindan se nikala
ahbab ke kandhe se gira jata tha jis dam
tabut mera gor-e-ghariban se nikala
taqdir ne sahil pe kiye saikDon phere
taKHta na hamara kabhi tufan se nikala
shana dil-e-sad-chaak ke naqsha se banaya
aaina mere dida-e-hairan se nikala
wo tifl-e-sharir aur se kab chuke hai jis ne
ustad ko do din mein dabistan se nikala
laila bhi magar parda-e-mahmil ki thi dushman
naqa ko ragaD kar jo mughilan se nikala
zid mujh se thi majnun ki hikayat ka phir ai jaan
kyon tum ne waraq apne gulistan se nikala
ab tak meri aahon mein hai sumbul ki si KHushbu
ek din jo dhuan yar ke quliyan se nikala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.