qurbat-e-husn se ye haal hua dekho to
qurbat-e-husn se ye haal huā dekho to
raushnī de uThā saaya bhī mirā dekho to
kuchh na kah paa.e ye taslīm-o-razā dekho to
kitne pāband haiñ arbāb-e-vafā dekho to
rind piine ke liye jām-ba-kaf baiThe haiñ
zarf bhī hai ki nahīñ in meñ zarā dekho to
vaqt jo mere ishāroñ pe chalā kartā thā
kis qadar jald mujhe bhuul gayā dekho to
aabrū kāñToñ kī rakhne ke liye sahrā meñ
mil hī jā.egā koī ābla-pā dekho to
kārvāñ kā koī bichhḌā huā sāthī hogā
us kī āvāz suno muḌ ke zarā dekho to
kal tak ik phuul bhī thā jis ke liye bār-e-garāñ
haath patthar kī taraf us kā baḌhā dekho to
jaane kis moḌ pe le aayā tasavvur kā faroġh
maañd lagne lagī sūraj kī ziyā dekho to
haath to surḳh ka.ī din se haiñ un ke 'shāhid'
ḳhūn-e-nāhaq hai ki hai rang-e-hinā dekho to
qurbat-e-husn se ye haal hua dekho to
raushni de uTha saya bhi mera dekho to
kuchh na kah pae ye taslim-o-raza dekho to
kitne paband hain arbab-e-wafa dekho to
rind pine ke liye jam-ba-kaf baiThe hain
zarf bhi hai ki nahin in mein zara dekho to
waqt jo mere ishaaron pe chala karta tha
kis qadar jald mujhe bhul gaya dekho to
aabru kanTon ki rakhne ke liye sahra mein
mil hi jaega koi aabla-pa dekho to
karwan ka koi bichhDa hua sathi hoga
us ki aawaz suno muD ke zara dekho to
kal tak ek phul bhi tha jis ke liye bar-e-garan
hath patthar ki taraf us ka baDha dekho to
jaane kis moD pe le aaya tasawwur ka farogh
mand lagne lagi suraj ki ziya dekho to
hath to surKH kai din se hain un ke 'shahid'
KHun-e-nahaq hai ki hai rang-e-hina dekho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.