qurbat ke un dinon mein bhi jaana paDa mujhe
qurbat ke un dinoñ meñ bhī jaanā paḌā mujhe
āñkhoñ se apnī raaz chhupānā paḌā mujhe
dil ko to maiñ ne jhūTh se bahlā liyā magar
thoḌā bahut to shor machānā paḌā mujhe
vo chāhtā thā khelnā mere hī jism se
phir darmiyān ishq ke aanā paḌā mujhe
us ko thā shauq beach samundar meñ marne kā
sāhil ko khīñch khīñch ke laanā paḌā mujhe
be-rañg karnī thī mujhe apnī ye zindagī
so shā.irī meñ rañg girānā paḌā mujhe
us kā ye mānñā thā ki maiñ us se baḌh ke huuñ
kar ke tabāh ḳhud ko ghaTānā paḌā mujhe
tū ban rahā ḳhudā hai to ye bhī hisāb de
kitnā bigāḌ kar ke banānā paḌā mujhe
is sher ko sunānā thā us shaḳhs ko mujhe
mahfil meñ aap kī ye sunānā paḌā mujhe
qurbat ke un dinon mein bhi jaana paDa mujhe
aankhon se apni raaz chhupana paDa mujhe
dil ko to main ne jhuTh se bahla liya magar
thoDa bahut to shor machana paDa mujhe
wo chahta tha khelna mere hi jism se
phir darmiyan ishq ke aana paDa mujhe
us ko tha shauq beach samundar mein marne ka
sahil ko khinch khinch ke lana paDa mujhe
be-rang karni thi mujhe apni ye zindagi
so shairi mein rang girana paDa mujhe
us ka ye manna tha ki main us se baDh ke hun
kar ke tabah KHud ko ghaTana paDa mujhe
tu ban raha KHuda hai to ye bhi hisab de
kitna bigaD kar ke banana paDa mujhe
is sher ko sunana tha us shaKHs ko mujhe
mahfil mein aap ki ye sunana paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.