qurbaten apni jagah hain fasle apni jagah
qurbateñ apnī jagah haiñ fāsle apnī jagah
rāhateñ apnī jagah haiñ hādse apnī jagah
dar-ba-dar ham hī bhaTakte phir rahe haiñ aaj tak
rāhbar apnī jagah haiñ rāste apnī jagah
vaqt kyoñ barbād karte ho kisī ke vāste
dard-e-dil apnī jagah hai marhale apnī jagah
kyā zarūrī hai kisī kā us pe paiham sochnā
fitrateñ apnī jagah haiñ mashvare apnī jagah
kyoñ pareshāñ ho rahe ho dostoñ ye soch kar
zāviye apnī jagah haiñ dā.ere apnī jagah
ḳhārzāroñ se guzar 'qaisar' magar ye soch kar
rāh-rau apnī jagah haiñ rāste apnī jagah
qurbaten apni jagah hain fasle apni jagah
rahaten apni jagah hain hadse apni jagah
dar-ba-dar hum hi bhaTakte phir rahe hain aaj tak
rahbar apni jagah hain raste apni jagah
waqt kyon barbaad karte ho kisi ke waste
dard-e-dil apni jagah hai marhale apni jagah
kya zaruri hai kisi ka us pe paiham sochna
fitraten apni jagah hain mashware apni jagah
kyon pareshan ho rahe ho doston ye soch kar
zawiye apni jagah hain daere apni jagah
KHarzaron se guzar 'qaisar' magar ye soch kar
rah-rau apni jagah hain raste apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.