qurbaton ka wajud Dhati hai
qurbatoñ kā vajūd Dhātī hai
ḳhāmushī fāsle ugātī hai
vo na aa.egā phir bhī ik dahlīz
jaan kar kyoñ fareb khātī hai
raat rotī hai kyoñ vo ik laḌkī
din meñ ik ik ko jo hañsātī hai
dhuup ke tiir tum ne dekhe haiñ
chhāñv bhī barchhiyāñ chalātī hai
aur kuchh duur chal ke dekheñge
ye saḌak aur kyā dikhātī hai
taash whiskey club thirakte badan
raat kyā kyā khilaune laatī hai
shaam jab ghar ko lauTte haiñ 'ḳhumār'
ik udāsī bhī saath aatī hai
qurbaton ka wajud Dhati hai
KHamushi fasle ugati hai
wo na aaega phir bhi ek dahliz
jaan kar kyon fareb khati hai
raat roti hai kyon wo ek laDki
din mein ek ek ko jo hansati hai
dhup ke tir tum ne dekhe hain
chhanw bhi barchhiyan chalati hai
aur kuchh dur chal ke dekhenge
ye saDak aur kya dikhati hai
tash whiskey club thirakte badan
raat kya kya khilaune lati hai
sham jab ghar ko lauTte hain 'KHumar'
ek udasi bhi sath aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.