qurbaton ke darmiyan bhi fasla baqi raha
qurbatoñ ke darmiyāñ bhī fāsla baaqī rahā
ek isbāt-o-nafī kā silsila baaqī rahā
har duā-e-mustahab kal ke liye rakh dī ga.ī
aur hoñToñ par kasīlā zā.iqa baaqī rahā
pattharoñ kī sab lakīreñ dhīre dhīre miT ga.iiñ
nok-e-mizhgāñ se magar likkhā huā baaqī rahā
manziloñ kī samt roz-o-shab yuuñ hī chalte rahe
rāste kaTte ga.e aur fāsla baaqī rahā
ab safīne kā pata girdāb hī shāyad kahe
nāḳhudā ġhā.eb huā nām-e-ḳhudā baaqī rahā
is qadar chāhā ki us ko de diyā sab kuchh 'shamīm'
phir bhī mere maiñ kā mujh meñ ik nasha baaqī rahā
qurbaton ke darmiyan bhi fasla baqi raha
ek isbaat-o-nafi ka silsila baqi raha
har dua-e-mustahab kal ke liye rakh di gai
aur honTon par kasila zaiqa baqi raha
pattharon ki sab lakiren dhire dhire miT gain
nok-e-mizhgan se magar likkha hua baqi raha
manzilon ki samt roz-o-shab yun hi chalte rahe
raste kaTte gae aur fasla baqi raha
ab safine ka pata girdab hi shayad kahe
naKHuda ghaeb hua nam-e-KHuda baqi raha
is qadar chaha ki us ko de diya sab kuchh 'shamim'
phir bhi mere main ka mujh mein ek nasha baqi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.