qusur kya hai jo humse KHataen hoti hain
qusūr kyā hai jo ham se ḳhatā.eñ hotī haiñ
huzūr aap kī qātil adā.eñ hotī haiñ
barasnā aatā nahīñ un ko hai yahī ronā
falak pe roz hī kaalī ghaTā.eñ hotī haiñ
gunāh-e-ishq to āñkhoñ kā mashġhala Thahrā
ye kyā sitam hai ki dil ko sazā.eñ hotī haiñ
zarā sī oT agar le sako to achchhā hai
diye kī taak meñ shātir havā.eñ hotī haiñ
hamāre paas bhalā kyā hai aur dene ko
tumhāre vāste dil meñ duā.eñ hotī haiñ
tujhe bhī saikḌoñ sammān mil ga.e hote
‘akelā’ tujh se kahāñ iltijā.eñ hotī haiñ
qusur kya hai jo hum se KHataen hoti hain
huzur aap ki qatil adaen hoti hain
barasna aata nahin un ko hai yahi rona
falak pe roz hi kali ghaTaen hoti hain
gunah-e-ishq to aankhon ka mashghala Thahra
ye kya sitam hai ki dil ko sazaen hoti hain
zara si oT agar le sako to achchha hai
diye ki tak mein shatir hawaen hoti hain
hamare pas bhala kya hai aur dene ko
tumhaare waste dil mein duaen hoti hain
tujhe bhi saikDon samman mil gae hote
‘akela’ tujh se kahan iltijaen hoti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.