qusur-war jo tum ho KHata hamari bhi hai
qusūr-vār jo tum ho ḳhatā hamārī bhī hai
diye bujhāne meñ shāmil havā hamārī bhī hai
bahut aziiz hameñ terī dostī hai magar
agar ġhurūr hai tujh meñ anā hamārī bhī hai
hameñ bhī zeb-e-samā.at kabhī banāyā jaa.e
dabī dabī hī sahī ik sadā hamārī bhī hai
kisī ne dil pe mire haath rakh ke pūchhā thā
tirī bahisht meñ kyā koī jā hamārī bhī hai
ham is zamīn se kis tarah dast-kash ho jaa.eñ
isī zamīn ke andar ġhizā hamārī bhī hai
har ek aañkh meñ ḳhud ko talāsh karte haiñ
abhī shanāḳht 'talab' gum-shuda hamārī bhī hai
qusur-war jo tum ho KHata hamari bhi hai
diye bujhane mein shamil hawa hamari bhi hai
bahut aziz hamein teri dosti hai magar
agar ghurur hai tujh mein ana hamari bhi hai
hamein bhi zeb-e-samaat kabhi banaya jae
dabi dabi hi sahi ek sada hamari bhi hai
kisi ne dil pe mere hath rakh ke puchha tha
teri bahisht mein kya koi ja hamari bhi hai
hum is zamin se kis tarah dast-kash ho jaen
isi zamin ke andar ghiza hamari bhi hai
har ek aankh mein KHud ko talash karte hain
abhi shanaKHt 'talab' gum-shuda hamari bhi hai
- Book : Jahaan Gard (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.