qutub ghiyas qalandar ali wali miTTi
qutub ġhiyās qalandar alī valī miTTī
tumhāre ishq meñ kyā kyā nahīñ huī miTTī
hai murġh-e-aql abhī tak isī kashākash meñ
falak se aage kahāñ tak chalī ga.ī miTTī
phir ek nuur ne is meñ qiyām farmāyā
maiñ sochtā thā ki kis vāste banī miTTī
ye log kyoñ mujhe sar par uThā.e phirte haiñ
ye kis mazār se mas ho ga.ī mirī miTTī
ye kis ne ḳhuun ke aañsū rulā diye us ko
ye kis ke zikr pe yuuñ surḳh ho uThī miTTī
ye zalzaloñ kā tasalsul ye sūkhtī nadiyāñ
batā rahe haiñ ki had se nikal ga.ī miTTī
ḳhudā qasam mirī turbat se nuur phūTegā
tumhāre haath se mujh par agar paḌī miTTī
are o nām-nihādo ye kis gumān meñ ho
na jaane kitne ḳhudāoñ ko khā ga.ī miTTī
hamāre paañv meñ chhāle to paḌ ga.e lekin
hamāre azm se 'shādāb' ho ga.ī miTTī
qutub ghiyas qalandar ali wali miTTi
tumhaare ishq mein kya kya nahin hui miTTi
hai murgh-e-aql abhi tak isi kashakash mein
falak se aage kahan tak chali gai miTTi
phir ek nur ne is mein qiyam farmaya
main sochta tha ki kis waste bani miTTi
ye log kyon mujhe sar par uThae phirte hain
ye kis mazar se mas ho gai meri miTTi
ye kis ne KHun ke aansu rula diye us ko
ye kis ke zikr pe yun surKH ho uThi miTTi
ye zalzalon ka tasalsul ye sukhti nadiyan
bata rahe hain ki had se nikal gai miTTi
KHuda qasam meri turbat se nur phuTega
tumhaare hath se mujh par agar paDi miTTi
are o nam-nihado ye kis guman mein ho
na jaane kitne KHudaon ko kha gai miTTi
hamare panw mein chhaale to paD gae lekin
hamare azm se 'shadab' ho gai miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.