quwwat-e-guftar dekhi gar lab-e-KHamosh ki
quvvat-e-guftār dekhī gar lab-e-ḳhāmosh kī
kyoñ karegā āzmā.ish sabr-e-pardā-posh kī
zindagī meñ rah ga.ī hai bas yahī to ik ḳhushī
aa rahī hai ik sadā mujh ko surūd-e-dosh kī
maiñ nahīñ tauba-shikan jaatā huuñ lekin mai-kada
dekhne ko nargis-e-maḳhmūr ik mai-nosh kī
kyā huā shorīdagān-e-shahr ko tum hī kaho
pūchhte haiñ raah majnūñ se dayār-e-hosh kī
vus'at-e-qalbī tirī hairān kartī hai mujhe
hastiyāñ kyā kyā huiiñ zīnat tirī āġhosh kī
lahr tūfāñ kī lab-e-sāhil se jab Takrā ga.ī
kyā huā tezī ko 'sālik' mauj-e-dariyā-josh kī
quwwat-e-guftar dekhi gar lab-e-KHamosh ki
kyon karega aazmaish sabr-e-parda-posh ki
zindagi mein rah gai hai bas yahi to ek KHushi
aa rahi hai ek sada mujh ko surud-e-dosh ki
main nahin tauba-shikan jata hun lekin mai-kada
dekhne ko nargis-e-maKHmur ek mai-nosh ki
kya hua shoridagan-e-shahr ko tum hi kaho
puchhte hain rah majnun se dayar-e-hosh ki
wus'at-e-qalbi teri hairan karti hai mujhe
hastiyan kya kya huin zinat teri aaghosh ki
lahr tufan ki lab-e-sahil se jab Takra gai
kya hua tezi ko 'salik' mauj-e-dariya-josh ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.