rabta ghair se tumne jo baDha rakkha hai
rābta ġhair se tum ne jo baḌhā rakkhā hai
is ḳhabar ne mujhe bīmār banā rakkhā hai
ek kam-'ilm ko shā'ir jo banā rakkhā hai
pyaar kā paaTh 'ajab tum ne paḌhā rakkhā hai
sar-phirī tez havāoñ ne bujhānā chāhā
pyaar kā jab se diyā ham ne jalā rakkhā hai
maiñ shab-o-roz tumheñ yaad kiyā kartā huuñ
ek muddat huī tum ne to bhulā rakkhā hai
tum ne āñgan meñ jo ik peḌ lagāyā thā kabhī
zard mausam meñ use ham ne harā rakkhā hai
'iid ke din bhī mulāqāt na hone paa.ī
us ne tehvār ke din dil ko dukhā rakkhā hai
un ke aane kī ḳhabar jab se sunī hai maiñ ne
sirf āñkhoñ ko nahīñ dil ko bichhā rakkhā hai
apne 'fārūq' pe tum itnā sitam karte ho
is ne to naam tirā dil pe likhā rakkhā hai
rabta ghair se tum ne jo baDha rakkha hai
is KHabar ne mujhe bimar bana rakkha hai
ek kam-'ilm ko sha'ir jo bana rakkha hai
pyar ka paTh 'ajab tum ne paDha rakkha hai
sar-phiri tez hawaon ne bujhana chaha
pyar ka jab se diya hum ne jala rakkha hai
main shab-o-roz tumhein yaad kiya karta hun
ek muddat hui tum ne to bhula rakkha hai
tum ne aangan mein jo ek peD lagaya tha kabhi
zard mausam mein use hum ne hara rakkha hai
'id ke din bhi mulaqat na hone pai
us ne tehwar ke din dil ko dukha rakkha hai
un ke aane ki KHabar jab se suni hai main ne
sirf aankhon ko nahin dil ko bichha rakkha hai
apne 'faruq' pe tum itna sitam karte ho
is ne to nam tera dil pe likha rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.