rabta hai lab-e-jaanan se hamein
rābta hai lab-e-jānāñ se hameñ
kaam hai chashma-e-haivāñ se hameñ
muñh lagāyā hai to āb-e-haivāñ
dījiye chāh-e-zanaḳhdāñ se hameñ
dhuup se bhī hai ziyāda parhez
sāya-e-dāman-e-ehsāñ se hameñ
chashma-e-chashm kahāñ abr kahāñ
bahs kyā bārish-o-bārāñ se hameñ
ulfat-e-sar hai na afsar kā ḳhayāl
kyā ilāqa sar-o-sāmāñ se hameñ
na nikālegā kabhī baḳht-e-siyāh
zulmat-e-shām-e-ġharībāñ se hameñ
chhuT ga.ī sohbat-e-jānāñ ai 'rashk'
ranj hai rabt-e-tan-o-jāñ se hameñ
rabta hai lab-e-jaanan se hamein
kaam hai chashma-e-haiwan se hamein
munh lagaya hai to aab-e-haiwan
dijiye chah-e-zanaKHdan se hamein
dhup se bhi hai ziyaada parhez
saya-e-daman-e-ehsan se hamein
chashma-e-chashm kahan abr kahan
bahs kya barish-o-baran se hamein
ulfat-e-sar hai na afsar ka KHayal
kya ilaqa sar-o-saman se hamein
na nikalega kabhi baKHt-e-siyah
zulmat-e-sham-e-ghariban se hamein
chhuT gai sohbat-e-jaanan ai 'rashk'
ranj hai rabt-e-tan-o-jaan se hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.