rabta TuT na jae kahin KHud-bini se
rābta TuuT na jaa.e kahīñ ḳhud-bīnī se
dil laraz uTThā hai māhaul kī sañgīnī se
hausla hai to sarāboñ meñ utar kar dekho
zinda rahnā to ibārat hai ḳhush-ā.īnī se
ab sar-e-āḳhir-e-shab laa.e ho sūraj kī ḳhabar
yuuñ tamāshā na karo sub.h kī rañgīnī se
na burūdat thī na hiddat thī ajab mausam thā
choT khāyā kiye ham apnī hī kaj-bīnī se
aañkh pathrā.ī huī aur zabāñ guñg ki jab
zarf miTTī ke bane aur badan chīnī se
dard talḳhāba-e-ehsās meñ zam ho ke rahā
qatl-gah paT ga.ī alfāz kī shīrīnī se
sāmne aa ke jo vo haath milā.e to sahī
mujh ko haul aatā hai us shaḳhs kī miskīnī se
rabta TuT na jae kahin KHud-bini se
dil laraz uTTha hai mahaul ki sangini se
hausla hai to sarabon mein utar kar dekho
zinda rahna to ibarat hai KHush-aini se
ab sar-e-aKHir-e-shab lae ho suraj ki KHabar
yun tamasha na karo subh ki rangini se
na burudat thi na hiddat thi ajab mausam tha
choT khaya kiye hum apni hi kaj-bini se
aankh pathrai hui aur zaban gung ki jab
zarf miTTi ke bane aur badan chini se
dard talKHaba-e-ehsas mein zam ho ke raha
qatl-gah paT gai alfaz ki shirini se
samne aa ke jo wo hath milae to sahi
mujh ko haul aata hai us shaKHs ki miskini se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.