rabte TuT gae ranj se hum TuT gae
rābte TuuT ga.e ranj se ham TuuT ga.e
jab tire pyaar ke vo qaul-o-qasam TuuT ga.e
ban ga.ī dard ḳhushī jaañ pe sitam TuuT ga.e
jin kī ummīd na thī dil pe vo ġham TuuT ga.e
jab mohabbat meñ uThā daulat-oġhurbat kā savāl
lamha-e-shauq pe sadiyoñ ke alam TuuT ga.e
barq ban kar hī girā aisā karam thā terā
ham ki jhukte bhī na the terī qasam TuuT ga.e
toḌne vaale mire dil ko tujhe kyā ma.alūm
dil nahīñ TuuTā mirā dair-o-haram TuuT ga.e
bandagī kaisī mirī kaisī vafā kaisā sila
maiñ ne barsoñ jo tarāshe vo sanam TuuT ga.e
kaun samjhegā bhalā kis ko batā.ūñ 'sīmā'
merī ma.asūm sī hastī pe jo ġham TuuT ga.e
rabte TuT gae ranj se hum TuT gae
jab tere pyar ke wo qaul-o-qasam TuT gae
ban gai dard KHushi jaan pe sitam TuT gae
jin ki ummid na thi dil pe wo gham TuT gae
jab mohabbat mein uTha daulat-oghurbat ka sawal
lamha-e-shauq pe sadiyon ke alam TuT gae
barq ban kar hi gira aisa karam tha tera
hum ki jhukte bhi na the teri qasam TuT gae
toDne wale mere dil ko tujhe kya malum
dil nahin TuTa mera dair-o-haram TuT gae
bandagi kaisi meri kaisi wafa kaisa sila
main ne barson jo tarashe wo sanam TuT gae
kaun samjhega bhala kis ko bataun 'sima'
meri masum si hasti pe jo gham TuT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.