raegan bughz-o-hasad mein zindagani mat karo
rā.egāñ buġhz-o-hasad meñ zindagānī mat karo
qadr rishtoñ kī karo yuuñ ḳhuun paanī mat karo
ek duuje se chaman ke phuul bhī hoñ bad-gumāñ
yuuñ ta.assub-rez hargiz bāġhbānī mat karo
umr kā Dhal jā.egā sūraj to phir pachhtāoge
qīmtī barbād apnī ye javānī mat karo
tum yahāñ insāniyat ke ik alam-bardār ho
yuuñ abas kirdār apnā be-ma.ānī mat karo
pahle to sūraj ko lā kar rakh diyā sar par mire
ab dikhāve ke liye ye sā.ebānī mat karo
ai mire ashko mirī āñkhoñ ke andar hī raho
tum mire jazbāt kī yuuñ tarjumānī mat karo
kaan bhar dene se yuuñ hī aire-ġhaire shaḳhs ke
paidā apne dil meñ hargiz bad-gumānī mat karo
ahl-e-masnad tum se merā bas yahī hai iltimās
muflisoñ kā ḳhuun pī kar hukmrānī mat karo
is tarah qadmoñ meñ rakh kar bātiloñ ke 'sād' tum
apnī ye dastār mailī ḳhāndānī mat karo
raegan bughz-o-hasad mein zindagani mat karo
qadr rishton ki karo yun KHun pani mat karo
ek duje se chaman ke phul bhi hon bad-guman
yun tassub-rez hargiz baghbani mat karo
umr ka Dhal jaega suraj to phir pachhtaoge
qimti barbaad apni ye jawani mat karo
tum yahan insaniyat ke ek alam-bardar ho
yun abas kirdar apna be-maani mat karo
pahle to suraj ko la kar rakh diya sar par mere
ab dikhawe ke liye ye saebani mat karo
ai mere ashko meri aankhon ke andar hi raho
tum mere jazbaat ki yun tarjumani mat karo
kan bhar dene se yun hi aire-ghaire shaKHs ke
paida apne dil mein hargiz bad-gumani mat karo
ahl-e-masnad tum se mera bas yahi hai iltimas
muflison ka KHun pi kar hukmrani mat karo
is tarah qadmon mein rakh kar baatilon ke 'sad' tum
apni ye dastar maili KHandani mat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.