raegan ho hi gaya waqt pareshani ka
rā.egāñ ho hī gayā vaqt pareshānī kā
ham ko Dhang aayā nahīñ chāk-garebānī kā
ab tirā husn bhalā kis se bayāñ ho paa.e
kis tarah rang batā.egā koī paanī kā
tajraba ḳhuub sikhā detā hai tanhā rahnā
maiñ bhī ab shor samajh letā huuñ vīrānī kā
us kī āzād tabī'at se bahut vāqif thā
chhoḌ jaanā to sabab hī nahīñ hairānī kā
us ko har chiiz salīqe se pasand aatī hai
aur mujhe ḳhatra lagā rahtā hai nādānī kā
raegan ho hi gaya waqt pareshani ka
hum ko Dhang aaya nahin chaak-garebani ka
ab tera husn bhala kis se bayan ho pae
kis tarah rang bataega koi pani ka
tajraba KHub sikha deta hai tanha rahna
main bhi ab shor samajh leta hun virani ka
us ki aazad tabi'at se bahut waqif tha
chhoD jaana to sabab hi nahin hairani ka
us ko har chiz saliqe se pasand aati hai
aur mujhe KHatra laga rahta hai nadani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.