raegan jati hai kya jaan kisi diwane ki
rā.egāñ jaatī hai kyā jaañ kisī dīvāne kī
sham.a bhī jaltī rahī yaad meñ parvāne kī
chashm-e-kohsār ne ro ro ke bahā.e dariyā
kitnī pur-dard hañsī thī tire dīvāne kī
mujh ko har samt se qulqul kī sadā aatī hai
samt-e-masjid ho yā girje kī ho but-ḳhāne kī
har qadam hosh-rubā aur nazar hosh shikan
vus.ateñ baḌh ga.iiñ kitnī tire maiḳhāne kī
'soz' buniyād meñ chun chun ke huā hai ta.amīr
dushmanī barq ko āsāñ nahīñ kāshāne kī
raegan jati hai kya jaan kisi diwane ki
shama bhi jalti rahi yaad mein parwane ki
chashm-e-kohsar ne ro ro ke bahae dariya
kitni pur-dard hansi thi tere diwane ki
mujh ko har samt se qulqul ki sada aati hai
samt-e-masjid ho ya girje ki ho but-KHane ki
har qadam hosh-ruba aur nazar hosh shikan
wusaten baDh gain kitni tere maiKHane ki
'soz' buniyaad mein chun chun ke hua hai tamir
dushmani barq ko aasan nahin kashane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.