raegan kash mera nala-e-shab-gir na ho
rā.egāñ kaash mirā nāla-e-shab-gīr na ho
aah merī na ho vo jis meñ ki tāsīr na ho
bante hī rahte haiñ miT miT ke nuqūsh-e-hastī
jo bigaḌ ke na bane vo mirī taqdīr na ho
terī rahmat kā taqāza to ye hai shān-e-karam
banda terā koī sharminda-e-taqsīr na ho
kār-farmā hī rahe ḳhud hī jo manshā-e-azal
sa.i-e-paiham kabhī minnat-kash-e-tadbīr na ho
apnī mahrūmī kā jis ko ho gila hashr ke din
Dar rahā huuñ ki kahīñ vo mirī taqdīr na ho
mā.il-e-lutf-o-karam jo na ho vo kab hai ḳhudā
banda vo banda nahīñ jis se ki taqsīr na ho
apne mahbūb kī ummat kā rahe kuchh to lihāz
tere hote hue ham bandoñ kī tahqīr na ho
sāmne aa.e to ruuyā kī haqīqat jānūñ
ḳhvāb hī kyā vo jo sharminda-e-ta.abīr na ho
sharh-e-rūdād-e-mohabbat lab-e-ḳhāmosh na hoñ
be-zabānī ġham-e-dil kī kahīñ tafsīr na ho
hausla merī umīdoñ kā jo baḌhtā hī rahe
nā-murādī kī mire sāmne tasvīr na ho
jāntā huuñ ki bahār aa.egī lekin 'mehdī'
māna-e-dasht-navardī kahīñ zanjīr na ho
raegan kash mera nala-e-shab-gir na ho
aah meri na ho wo jis mein ki tasir na ho
bante hi rahte hain miT miT ke nuqush-e-hasti
jo bigaD ke na bane wo meri taqdir na ho
teri rahmat ka taqaza to ye hai shan-e-karam
banda tera koi sharminda-e-taqsir na ho
kar-farma hi rahe KHud hi jo mansha-e-azal
sai-e-paiham kabhi minnat-kash-e-tadbir na ho
apni mahrumi ka jis ko ho gila hashr ke din
Dar raha hun ki kahin wo meri taqdir na ho
mail-e-lutf-o-karam jo na ho wo kab hai KHuda
banda wo banda nahin jis se ki taqsir na ho
apne mahbub ki ummat ka rahe kuchh to lihaz
tere hote hue hum bandon ki tahqir na ho
samne aae to ruya ki haqiqat jaanun
KHwab hi kya wo jo sharminda-e-tabir na ho
sharh-e-rudad-e-mohabbat lab-e-KHamosh na hon
be-zabani gham-e-dil ki kahin tafsir na ho
hausla meri umidon ka jo baDhta hi rahe
na-muradi ki mere samne taswir na ho
jaanta hun ki bahaar aaegi lekin 'mehdi'
mana-e-dasht-nawardi kahin zanjir na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.