raegani uTha zaruri hai
rā.egānī uThā zarūrī hai
kuchh na kuchh to gañvā zarūrī hai
rah rahī huuñ añdher-nagrī meñ
raushnī bāñTnā zarūrī hai
shor har samt hai jhameloñ kā
kyā batā.ūñ ki kyā zarūrī hai
ḳhud se ḳhud thaam kar chalo ḳhud ko
ik yahī aasrā zarūrī hai
habs-ḳhāna banā hai ḳhāna-e-dil
yaar mujh ko rulā zarūrī hai
vahshateñ bas ga.ī haiñ siine meñ
āñsuoñ kī ġhizā zarūrī hai
ḳhud se ġhaflat kā dukh satā.e bahut
ab mujhe aa.ina zarūrī hai
ġham ko siine lagā ke chal 'māhī'
garm-joshī dikhā zarūrī hai
raegani uTha zaruri hai
kuchh na kuchh to ganwa zaruri hai
rah rahi hun andher-nagri mein
raushni banTna zaruri hai
shor har samt hai jhamelon ka
kya bataun ki kya zaruri hai
KHud se KHud tham kar chalo KHud ko
ek yahi aasra zaruri hai
habs-KHana bana hai KHana-e-dil
yar mujh ko rula zaruri hai
wahshaten bas gai hain sine mein
aansuon ki ghiza zaruri hai
KHud se ghaflat ka dukh satae bahut
ab mujhe aaina zaruri hai
gham ko sine laga ke chal 'mahi'
garm-joshi dikha zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.