rah apni badal nahin pae
raah apnī badal nahīñ paa.e
ham tire saath chal nahīñ paa.e
Tālne kī hazār koshish kī
hādse phir bhī Tal nahīñ paa.e
ham ne duniyā to chhoḌ dī lekin
ek ḳhvāhish kuchal nahīñ paa.e
umr-bhar ek hī tamanna ke
dā.ere se nikal nahīñ paa.e
vo havāoñ kā zor thā kyā thā
ham safar meñ sañbhal nahīñ paa.e
raas aa.ī na zindagī ham ko
jis ke sāñche meñ Dhal nahīñ paa.e
vaqt sho.aloñ meñ jhoñktā hī rahā
giilī lakḌī the jal nahīñ paa.e
rah apni badal nahin pae
hum tere sath chal nahin pae
Talne ki hazar koshish ki
hadse phir bhi Tal nahin pae
hum ne duniya to chhoD di lekin
ek KHwahish kuchal nahin pae
umr-bhar ek hi tamanna ke
daere se nikal nahin pae
wo hawaon ka zor tha kya tha
hum safar mein sanbhal nahin pae
ras aai na zindagi hum ko
jis ke sanche mein Dhal nahin pae
waqt shoalon mein jhonkta hi raha
gili lakDi the jal nahin pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.