rah apni na rahbar apna
raah apnī na rāhbar apnā
kāmrāñ kaise ho safar apnā
naaz kyā aarzī Thikāne par
shahr apnā na koī ghar apnā
ab jo hogā vo dekhā jā.egā
aap kā dar hai aur sar apnā
ham ko jiine kī aarzū hai abhī
kyoñ hai māyūs chārāgar apnā
phir na.ī manzileñ talāshte haiñ
ḳhatm hotā nahīñ safar apnā
log hote haiñ mustafīd to hoñ
ham nahīñ bechte hunar apnā
nau-e-insāñ ke kaam aa.e adab
hai yahī nuqta-e-nazar apnā
baat karte haiñ ham ḳhudā lagtī
aur lahja hai mo'atabar apnā
sher-goī meñ naam hai 'maqbūl'
ye ta.āruf hai muḳhtasar apnā
rah apni na rahbar apna
kaamran kaise ho safar apna
naz kya aarzi Thikane par
shahr apna na koi ghar apna
ab jo hoga wo dekha jaega
aap ka dar hai aur sar apna
hum ko jine ki aarzu hai abhi
kyon hai mayus chaaragar apna
phir nai manzilen talashte hain
KHatm hota nahin safar apna
log hote hain mustafid to hon
hum nahin bechte hunar apna
nau-e-insan ke kaam aae adab
hai yahi nuqta-e-nazar apna
baat karte hain hum KHuda lagti
aur lahja hai mo'atabar apna
sher-goi mein nam hai 'maqbul'
ye taaruf hai muKHtasar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.