rah-e-hayat garche hai dushwar-tar chalo
rāh-e-hayāt garche hai dushvār-tar chalo
har ik qadam banāte na.ī rah-guzar chalo
hogā kahīñ to ḳhatm sarāboñ kā silsila
āḳhir kabhī to aa.egī manzil nazar chalo
chashm-e-ḳhirad se dekh ke raftār vaqt kī
hālāt par rakhe hue apnī nazar chalo
ye zaḳhm-hā-e-dil bhī 'ināyat unhī kī hai
ab un ko kyā dikhā.eñ ye zaḳhm-e-jigar chalo
zulmāt-e-ġham ke baa'd hai ḳhushiyoñ kī raushnī
sahrā-e-shab ko paar karo tā-sahar chalo
'naġhmī' dayār-e-sarvar-e-kaunain hai yahāñ
har ik qadam jhukā.e jabīñ chashm-e-tar chalo
rah-e-hayat garche hai dushwar-tar chalo
har ek qadam banate nai rah-guzar chalo
hoga kahin to KHatm sarabon ka silsila
aaKHir kabhi to aaegi manzil nazar chalo
chashm-e-KHirad se dekh ke raftar waqt ki
haalat par rakhe hue apni nazar chalo
ye zaKHm-ha-e-dil bhi 'inayat unhi ki hai
ab un ko kya dikhaen ye zaKHm-e-jigar chalo
zulmat-e-gham ke ba'd hai KHushiyon ki raushni
sahra-e-shab ko par karo ta-sahar chalo
'naghmi' dayar-e-sarwar-e-kaunain hai yahan
har ek qadam jhukae jabin chashm-e-tar chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.