rah-e-pur-pech mein guzra wo safar yaad aaya
rah-e-pur-pech mein guzra wo safar yaad aaya
Begum Sultana Zakir Ada
MORE BYBegum Sultana Zakir Ada
rāh-e-pur-pech meñ guzrā vo safar yaad aaya
ashk palkoñ se gire ḳhūn-e-jigar yaad aaya
jis ko nazroñ meñ basā.e hue ham rahte the
hameñ rah rah ke vo be-mehr nazar yaad aaya
ham ne har raah meñ DhūñDā use har saañs ke saath
vo har ik moḌ pe har shām-o-sahar yaad aaya
ek saaya sā rahā saath mire saa.e ke
lamha lamha hameñ vo chaar pahar yaad aaya
jis ko bhūle se kabhī bhuul na paa.e the kahīñ
hameñ har bazm meñ vo chashm-ba-sar yaad aaya
vahī andāz-e-takallum vahī nazroñ meñ tazād
vo mirā arz-e-tamannā kā asar yaad aaya
bahr-e-tūfān-e-havādis meñ ghire the aise
lab-e-sāhil bhī vahī madd-o-jazar yaad aaya
rah-e-pur-pech mein guzra wo safar yaad aaya
ashk palkon se gire KHun-e-jigar yaad aaya
jis ko nazron mein basae hue hum rahte the
hamein rah rah ke wo be-mehr nazar yaad aaya
hum ne har rah mein DhunDa use har sans ke sath
wo har ek moD pe har sham-o-sahar yaad aaya
ek saya sa raha sath mere sae ke
lamha lamha hamein wo chaar pahar yaad aaya
jis ko bhule se kabhi bhul na pae the kahin
hamein har bazm mein wo chashm-ba-sar yaad aaya
wahi andaz-e-takallum wahi nazron mein tazad
wo mera arz-e-tamanna ka asar yaad aaya
bahr-e-tufan-e-hawadis mein ghire the aise
lab-e-sahil bhi wahi madd-o-jazar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.