rah-e-safar mein aaj ye manzar bhi aaega
rāh-e-safar meñ aaj ye manzar bhī aa.egā
gulshan ke saath jaltā huā ghar bhī aa.egā
ai ham-safar abhī se safar kī takān kyoñ
dasht-e-junūñ meñ ġham kā samundar bhī aa.egā
bastī jalā rahe haiñ magar ye rahe ḳhayāl
sho.aloñ kī zad meñ aap kā ye ghar bhī aa.egā
tanhā.ī hī sahī na rukeñ raah meñ qadam
manzil nigāh meñ ho to rahbar bhī aa.egā
ye chashm-e-kaif-e-yār taġhāful ke saath saath
ilzām-e-qatl ab to tire sar bhī aa.egā
to yuuñ mirī vafāoñ kā ab imtihāñ na le
mere lahū se tar tirā ḳhanjar bhī aa.egā
tūfāñ kī samt le na chalo kārvāñ abhī
āñdhī kī zad meñ nāqa-e-rahbar bhī aa.egā
maanā hai dasht-e-shauq bahut pur-ḳhatar 'zafar'
lekin vahāñ ġhamoñ kā ye ḳhūgar bhī aa.egā
rah-e-safar mein aaj ye manzar bhi aaega
gulshan ke sath jalta hua ghar bhi aaega
ai ham-safar abhi se safar ki takan kyon
dasht-e-junun mein gham ka samundar bhi aaega
basti jala rahe hain magar ye rahe KHayal
shoalon ki zad mein aap ka ye ghar bhi aaega
tanhai hi sahi na ruken rah mein qadam
manzil nigah mein ho to rahbar bhi aaega
ye chashm-e-kaif-e-yar taghaful ke sath sath
ilzam-e-qatl ab to tere sar bhi aaega
to yun meri wafaon ka ab imtihan na le
mere lahu se tar tera KHanjar bhi aaega
tufan ki samt le na chalo karwan abhi
aandhi ki zad mein naqa-e-rahbar bhi aaega
mana hai dasht-e-shauq bahut pur-KHatar 'zafar'
lekin wahan ghamon ka ye KHugar bhi aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.