rah-e-ulfat mein nikal aaega hasil koi
rāh-e-ulfat meñ nikal aa.egā hāsil koī
ḳhatm manzil na ho aisī nahīñ manzil koī
rang ulfat kā jamānā nahīñ mushkil koī
dekh le kaash mirā ḳhūn-e-rag-e-dil koī
mauj-e-dariyā-e-mohabbat kā yahī matlab hai
lutf ke saath na Thahre lab-e-sāhil koī
sab isī fikr meñ din-rāt rahā karte haiñ
marne jiine kā batā de hameñ hāsil koī
duur ḳhud ho ga.ī tārīkī-e-ġhurbat mujh se
kyoñ jalātā hai charāġh ab sar-e-manzil koī
aur jiine kī tamanna nahīñ marne detī
ham samajhte the ki marnā nahīñ mushkil koī
dil ko ab aane lagā qatl-gah-e-nāz meñ lutf
aur bismil kare ai hazrat-e-'bismil' koī
rah-e-ulfat mein nikal aaega hasil koi
KHatm manzil na ho aisi nahin manzil koi
rang ulfat ka jamana nahin mushkil koi
dekh le kash mera KHun-e-rag-e-dil koi
mauj-e-dariya-e-mohabbat ka yahi matlab hai
lutf ke sath na Thahre lab-e-sahil koi
sab isi fikr mein din-raat raha karte hain
marne jine ka bata de hamein hasil koi
dur KHud ho gai tariki-e-ghurbat mujh se
kyon jalata hai charagh ab sar-e-manzil koi
aur jine ki tamanna nahin marne deti
hum samajhte the ki marna nahin mushkil koi
dil ko ab aane laga qatl-gah-e-naz mein lutf
aur bismil kare ai hazrat-e-'bismil' koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.