rah-e-wafa mein girte sambhalte rahe miyan
rāh-e-vafā meñ girte sambhalte rahe miyāñ
thakne ke bā-vajūd bhī chalte rahe miyāñ
ik umr tez dhuup meñ jalte rahe miyāñ
ā.īna-ḳhāne dil ke pighalte rahe miyāñ
ye shaam kā dhuñdalkā ye vahshat ye ḳhāmushī
tanhā barāmde meñ Tahalte rahe miyāñ
kuchh log manziloñ se bhī aage nikal ga.e
ik ham ki apne haath hī malte rahe miyāñ
ā.īna jab bhī dekhā hai chehra thā ik nayā
ham jaane kitne sāñchoñ meñ Dhalte rahe miyāñ
sahrā the itne sard ki yaḳh ho gayā vajūd
utre samundaroñ meñ to jalte rahe miyāñ
ḳhvāboñ kī bastiyoñ se baḌī tamkanat ke saath
pal-pal ka.ī janāze nikalte rahe miyāñ
dariyā lahū ke yaas ke ashkoñ ke aag ke
har gosha-e-zamīñ se ubalte rahe miyāñ
dhārā na rokā jā sakā tārīḳh kā kabhī
hālāt zindagī ke badalte rahe miyāñ
rah-e-wafa mein girte sambhalte rahe miyan
thakne ke ba-wajud bhi chalte rahe miyan
ek umr tez dhup mein jalte rahe miyan
aaina-KHane dil ke pighalte rahe miyan
ye sham ka dhundalka ye wahshat ye KHamushi
tanha baramde mein Tahalte rahe miyan
kuchh log manzilon se bhi aage nikal gae
ek hum ki apne hath hi malte rahe miyan
aaina jab bhi dekha hai chehra tha ek naya
hum jaane kitne sanchon mein Dhalte rahe miyan
sahra the itne sard ki yaKH ho gaya wajud
utre samundaron mein to jalte rahe miyan
KHwabon ki bastiyon se baDi tamkanat ke sath
pal-pal kai janaze nikalte rahe miyan
dariya lahu ke yas ke ashkon ke aag ke
har gosha-e-zamin se ubalte rahe miyan
dhaara na roka ja saka tariKH ka kabhi
haalat zindagi ke badalte rahe miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.