rah jis ne chali ghafilon ki tarah
raah jis ne chalī ġhāfiloñ kī tarah
qatl bhī vo huā buz-diloñ kī tarah
terī yādeñ tasavvur ko jab mil ga.iiñ
merī ḳhalvat sajī mahfiloñ kī tarah
DhūñDte haiñ sarāboñ meñ kyā tishna-lab
dasht hotā nahīñ sāhiloñ kī tarah
mom ban kar vo hargiz pighalte nahīñ
saḳhtiyoñ meñ jo dil haiñ siloñ kī tarah
roġhan iḳhlās kā rang laane lagā
maiñ nichoḌā gayā jab tiloñ kī tarah
ye hai sach terī furqat ne mohlat na dī
shab guzārī magar vāsiloñ kī tarah
sar meñ saudā-e-sar ho agar jān-e-man
mushkileñ bhī nahīñ mushkiloñ kī tarah
kuchh javāb ahl-e-dil ke savāloñ kā deñ
baat karte haiñ jo āqiloñ kī tarah
qurbat un kī fareb-e-safar de ga.ī
duur se jo lageñ manziloñ kī tarah
ik muqaddas sahīfa mirī shā.erī
jis ko paḌhte ho tum noveloñ kī tarah
mere afkār 'nādim' tan-āsāñ nahīñ
yuuñ to lagtā huuñ maiñ kāhiloñ kī tarah
rah jis ne chali ghafilon ki tarah
qatl bhi wo hua buz-dilon ki tarah
teri yaaden tasawwur ko jab mil gain
meri KHalwat saji mahfilon ki tarah
DhunDte hain sarabon mein kya tishna-lab
dasht hota nahin sahilon ki tarah
mom ban kar wo hargiz pighalte nahin
saKHtiyon mein jo dil hain silon ki tarah
roghan iKHlas ka rang lane laga
main nichoDa gaya jab tilon ki tarah
ye hai sach teri furqat ne mohlat na di
shab guzari magar wasilon ki tarah
sar mein sauda-e-sar ho agar jaan-e-man
mushkilen bhi nahin mushkilon ki tarah
kuchh jawab ahl-e-dil ke sawalon ka den
baat karte hain jo aaqilon ki tarah
qurbat un ki fareb-e-safar de gai
dur se jo lagen manzilon ki tarah
ek muqaddas sahifa meri shaeri
jis ko paDhte ho tum nowelon ki tarah
mere afkar 'nadim' tan-asan nahin
yun to lagta hun main kahilon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.