rah KHamosh rahbar KHamosh
raah ḳhāmosh rāhbar ḳhāmosh
kārvāñ luT gayā safar ḳhāmosh
vaqt paḌne pe har nazar ḳhāmosh
dard baḌhne pe chārāgar ḳhāmosh
ḳhāna-e-dil meñ hū kā aalam hai
aur dīvār-o-bām-o-dar ḳhāmosh
kaisī ab ke bahār aa.ī hai
bulbuleñ chup to haiñ shajar ḳhāmosh
hāl-e-dil kab hai us se poshīda
jaan kar bhī hai vo magar ḳhāmosh
husn-e-fitrat kā boltā manzar
kar gayā mujh ko kis qadar ḳhāmosh
kyoñ musalsal sitam uThā.e koī
kyoñ rahe koī umr bhar ḳhāmosh
jhelte jhelte azaab yahāñ
ho ga.e 'nāz' ghar ke ghar ḳhāmosh
rah KHamosh rahbar KHamosh
karwan luT gaya safar KHamosh
waqt paDne pe har nazar KHamosh
dard baDhne pe chaaragar KHamosh
KHana-e-dil mein hu ka aalam hai
aur diwar-o-baam-o-dar KHamosh
kaisi ab ke bahaar aai hai
bulbulen chup to hain shajar KHamosh
haal-e-dil kab hai us se poshida
jaan kar bhi hai wo magar KHamosh
husn-e-fitrat ka bolta manzar
kar gaya mujh ko kis qadar KHamosh
kyon musalsal sitam uThae koi
kyon rahe koi umr bhar KHamosh
jhelte jhelte azab yahan
ho gae 'naz' ghar ke ghar KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.